Aajkal jaane kyu..

Khoya hua lagta hai kuch
Kaali raaton me
Chat ko taakte hue
Lagta hai kuch to tha
Kuch. To tha jo gayab hai
Haan… taare shayad
in nakli roshniyon me
Raunak dab gyi hai inki
Chamak dhundhla gyi hai shayad
Na maaloom ab ye Kya kehti hongi…
Kya koi baatein krta hoga unse ab bhi?
Ya ye b yu hin kho gyi hai
Is chakachaundh me….
Ya fir baarish hogi…
Uski boonde ab bhati nai utni
Jaise kabhi
Man ko lalcha jaati thi
Bijli ki garaj rom rom behka jaati thi
Haan magar yaad us
Kagaj ki naav aur unki race ki
Aaj bhi
Man loobha jaati hai…
Jaane Kya dhoondti hoo
Jhankti hui
Ghar k taako me…
Aur kabhi unpe rakhi kitabon me…
Kya bachpan unme hota hai?
Nai na?
Haan magar
Jab unhi kitbon se
ek mor ka pankh
Fisalata k god me aa girta hai….
Muskurahat aur kuch yaadon ke sath thora to bachpan laut aata hai…
Muddat beet gyi
Us bachpane se mile hue
Kya mujhe hi bas vo yaad aata hai?